E-Commerce kya hai e-commerce website kaise banaen ? 2022

E-Commerce kya hai e-commerce website kaise banaen ? 2022

Hello doston aaj ki is post mein aap logon ka tahe dil se swagat hai ham aap logon ko e commerce kya hota hai iske bare mein jankari de rahe hain. Aur ISI ke sath sath ham aap logon Ko yah bhi bataenge ki e commerce website kya hoti hai. ji han doston kya aap logon Ko iske bare mein pahle se pata tha ki commerce website kya hoti hai agar nahin to doston is post ki sahayata se aap iske bare mein Puri jankari vistar se prapt kar sakte hain. iske liye aapko hamari is post ko shuru se lekar ant Tak dhyanpurvak follow karna hoga agar aap hamari is post ko shuru se lekar ant Tak dhyanpurvak follow kar lete hain. to ham yahan per is baat ka dawa karte hain aap bahut hi kam samay ke andar e-commerce website ke bare mein Puri jankari hasil kar sakte hain.

Ek Aisa bhi samay tha jab hamari jarurat ke samanon ko kharidne ke liye hamen bahut dur bajar mein jana padta tha yadi yah pata Na Ho ki yah saman kahan per milta hai. to hamen pure Shahar ke bhi chakkar lagane padte the isase jyada samasya UN logon Ko hoti thi. Jo dur ilakon aur gaon se aate the unhen koi bhi naye saman ko kharidne ke liye Shahar mein aana padta tha. jismein unhen Kai sari samasyaon ka bhi samna karna padta tha.

Doston sabse Java samasya tab aati thi jab Shahar mein koi ek dukaan wala aapse kisi bhi saman ko manmane dhang se paise vasul hota Ho yani ki ek saman ke liye vah aapse jyada se jyada paise aane ke bare mein sochta Hun. use samay hamen kisi bhi product ka sahi se dam nahin pata hota hai lekin aaj ke samay mein koi bhi product kharidna ho to internet uska price pahle hi aapko Bata deta hai. ab internet a jaane se bahut kuchh hamari duniya mein Badal chuka hai.

E-Commerce kya hai.

Doston ham aapki jankari ke liye batana chahenge E-Commerce angreji Shabd commerce mein aur commerce donon shabdon Ko milakar banaya Gaya hai. Jahan per I ka matlab electronic hai aur jise pura padhenge to electronic commerce yadi kisi saman ko electronic madhyam se ya electronic dwara internet ke dwara kray vikray ka aadan pradan Kiya jata hai to ise hi e commerce kaha jata hai.

Agar fir bhi aapke samajh mein nahin aaya to ham aapko udaharan ki sahayata se samjhane ka prayas karenge udaharan ke taur per man lete hain. yadi aapko koi bhi saman kharidna hai aur aap use saman ko internet dwara kisi website ke jarie yani ki Flipkart ya FIR Amazon ke dwara kharidna chahte hain. aur vah saman aap tak delivery ho jata hai to yah prakriya E-Commerce mein aati hai Bharat mein Amazon aur Flipkart iska sabse bada saboot hai.

Types of E-commerce

Man ke chale to E-Commerce mukhya roop se char prakar ki Hoti hai kisi bhi business aur customer ke prayogon ke liye inke alag alag kam hote hain inke prakar nimn hai.

1) Business-to-Consumer (B2C)

2) Business-to-Business (B2B)

3) Consumer-to-Consumer (C2C)

4) Consumer-to-Business (C2B)

1) Business-to-Consumer (B2C)

Baat Karen sabse pahle category mein e commerce ki prakriya sidhe bhejne se customer ke bich mein ki jaati hai. matlab ki koi bhi customer online kisi bhi business website se koi bhi product aasani se kar sakta hai jaisa ki hamare Desh mein Amazon aur Flipkart ki prakriya hai.

2) Business-to-Business (B2B)

Ab dusre prakar ki baat ki jaaye to jab koi yah company dusre company se koi bhi product kharidta hai yani ki kiray vikray Karta hai to yah sidhe B2B category mein aata hai. man lete hain yadi koi mobile company hai use apna mobile banane ke liye software aur procedure ki jarurat hai. to vah iske liye dusri company se bhi saman khareed sakti hai tab jakar uska mobile Puri tarike se taiyar hota hai.

3) Consumer-to-Consumer (C2C)

Teesri category ki baat karen to jab yah consumer apna product dusre consumer ko deta hai ya kharidta hai ya bhejta hai to is prakriya ko C2C mein laya jata hai. iska sabse bada udaharan OLX aur Quikr Jaisi website hai OLX per aap sidhe kisi consumer se jo aapki tarah hi jaruratmand hota hai usse uska product khareed sakte hain. ya FIR Apne product ko use vyakti ko bhech sakte hain.

4) Consumer-to-Business (C2B)

Sabse antim prakar ki baat ki jaaye to c2b mein koi bhi company apne liye jarurat ke anusar koi bhi saman kisi consumer se khareed sakta hai ya uski service Ko le sakta hai. yadi kisi company ko apne business ke liye software aur website ki avashyakta Hoti hai to vah kisi bhi Freelance developers yah sab khareed sakta hai.

E-commerce Business kaise karen ?

Vaise dekha jaaye to India mein e commerce business shuru karna itna bhi mushkil nahin hai jitna ke logon ke dimag mein hai. aapko bus iske bare mein acchi knowledge honi chahie agar iske bare mein aapko acchi knowledge hoti hai. to aap khud se start kar sakte hain Jo log pahle se apna koi bhi dukaan chala rahe hain ya unka apna koi bhi product hai. jo khud banate hain unhen ise start karne mein jyada kuchh karna nahin padta hai inhen bus ek website aur bank account ki avashyakta hoti hai.

Lekin jo logon ke pass khud ka product nahin hota hai to vah UN logon ki help le sakte Hain jinke pass product hai lekin unko online ke bare mein jankari nahin Hoti hai.

E-commerce Website kaise banaen ?

Product ki jankari aur taiyari Puri kar lene ke bad aapko apni website per focus karna padega ek samay tha jab developer kisi bhi commerce website ke liye 50 se lekar 60000 Tak leta tha. jisko banane mein bhi kafi jyada samay lag jata tha parantu ab kuchh aise software a chuke hain. jisse kam kharch mein kisi bhi tarah ki koi koi e commerce website banai ja sakti hai.

1) domain register

E-commerce website banane ke liye sabse pahla kam hota hai aapko domen registered karna padta hai jis prakar se flipkart.com aur amazon.in yah sab domen hai. aapko bhi Apne product ke liye ek domen select karna hoga aur use domen ko aap godday ke dwara registered kar sakte hain ek domen ke liye aapko ₹1000 Tak kharch karne pad sakte hain.

Hosting register

Koi bhi website banane ke liye aapko hosting ki avashyakta Hoti hai yah ek tarah ka online space hota hai. Jahan aapki website se sambandhit sabhi filein ek jagah per sev karke Rakhi jaati Hain jise domen dwara kahin bhi access Kiya ja sakta hai. Aap ek achcha aur secure hosting hi kharide iske liye aapko ek sal ke liye ₹6000 Tak kharch karne pad sakte hain.

WordPress install Karen

Shayad aapko iske bare mein jankari nahin hogi wordpress ek prakar ka software hi hai jo website banane ke liye bilkul free mein uplabdh rahata hai. WordPress.org se aap ise bilkul free mein download kar sakte hain yadi aapko wordpress install karne mein koi bhi samasya a rahi hai. to aap hosting Lene se pahle use call kar apni shart rakhen ki aap hamen Sara domen set kar aur meri hosting mein aur meri WordPress install karke denge.

WooCommerce install Karen

aapko jyada pareshan hone ki avashyakta nahin hai yah wordpress ka hi ek free plugin hai jiske dwara e commerce se sambandhit aapko sabhi features mil jaate Hain. ise install karna kafi jyada saral hai ek bar word press ka dashboard login kar lijiye to aapko samajh mein a jaega ismein aap apni sabhi product upload karke rakh sakte hain. order ki jankari prapt kar sakte hain aur sath hi sath Apne payment method ko bhi aasani se jod sakte hain.

Download

Website Theme chune

Apne e-commerce website ko thoda designer banane ke liye aapko apni manpasand ke anusar koi bhi theme select karni hai jise aapko apni website ke logo ko achcha karne ke liye setup karna hai. WordPress.org per aapko hajaron theme free mein mil jaenge aur vahin se aapko apni koi bhi theme install kar leni hai. aur apni website per setup kar leni hai lekin agar aap thode paise kharch karke theme install kar leni hai. Lekin agar aap thode paise kharch karke theme select karna chahte hain. to aapko premium theme theme forest per mil jayegi.

Antim Shabd

doston ummid karte hain aapko hamara yah artical pasand aaya hoga.

1 thought on “E-Commerce kya hai e-commerce website kaise banaen ? 2022”

Leave a Comment